Mili hayaat hi aisi ke haya bhi ro padi
Teri talash mein zalim saza bhi ro padi
Teri talash mein zalim saza bhi ro padi
Tujhe toot kar chaha aur itna chaha,
Teri wafaa ki khatir wafa bhi ro padi
Teri wafaa ki khatir wafa bhi ro padi
Mera naseeb meri kismat mera mukadar bane tu
Tujhe maangte maangte dua bhi ro padi
Tujhe maangte maangte dua bhi ro padi